What is TeamViewer?
Teamviewer ek aisa software hai jisse aap duniya ke kisi bhi jagah baithkar apna PC ya laptop remotely access kar sakte hai.
Jaise aap apne office me hai aur aapka koi zaroori file aapke ghar ke PC me reh gaya hai ya fir aapke friend ya relative ke PC me koi problem aa rhi ho to aap is software ke through apne PC se Dusre PC ko remotly accsess karke wo problem door kar sakte hai isme aap dusre PC ka pura screen dekh payenge .
Yeh ek free software or application hai jiska link is post me mil jayega.
Is software ko use karke aap kahi bhi baithe apne mobile phone se ya kisi dusre PC se apne PC ka saara data access kar sakte hai.
aap teamviewer ka use apne desktop ya laptop se kahi door baithe tab tak kar sakte hai jab tak aap aur jis device se app connect hai wo dono internet se connect ho.
How To Install Teamviewer
Sabse pahle aapko teamviewer ka official website open karna hoga.
Iske baad aapko apna operating system select karna hoga aur apne OS ke hisaab se Teamviewer ka full version download karna hoga.
(aapko ye software dono PC me download aur install karna hoga)
Ise Install karte wakt isme 2 option puchega jisme aapko wahi select karna hai jaisa maine niche likha hai
uske baad aapko accept-finish pe click kar dena hai.
*How do you want to proceed?
Basic Installation
*How do you want to use Teamviewer?
Personal /Non-commercial
(Aapko same installation dono PC me karna hai)
How Teamviewer Works
Install karne ke baad aapko ek ID milegi aur password bhi milega aur same type ki window dusre PC me bhi open hogi Lekin ID aur password alag hoga.
Ab aapse aapke partner PC ke ID ko enter karna hai uske thik niche aapse option puchega ki aapko dusre PC ko remote control ya sirf file transfer karna hai.
Uske baad aap Connect to partner pe Click karenge jisme aapko uska password enter karna hoga aur fir log on pe click karte hi aap dusre PC ko totaly access kar payenge.
That's It...
How To Transfer file Teamviewer
Isme appko file transfer karne ke liye sabse pahle apne remotely control PC ke screen ko open karna hoga.
Screen open karne ke baad aapko uske top screen pe ek option milega file transfer ka jise aapko click karna hoga.
Click karne ke baad aapne samne ek window open hoga jisme aapko aapke PC aur aapke partner PC ka total drive aur folder show hoga jisme local computer aapka PC hai aur remote computer aapke partner PC ka.
Ab aapko kisi file ko transfer karne ke liye apne local computer se kisi bhi file type ko select karna hai aur remote pc me path select karna hai aur fir aapko local computer wale section me send button milega ispe click karne par aapka file Partner PC me send ho jayega.
(File transfer aap dono system me kar sakte hai )
Aap isme file transfer karne ke liye drag and drop bhi use kar sakte hai.
Thank You Guys...!!

Comments
Post a Comment